Madinay Walay Rang naat lyrics & videos {مدینےوالے رنگ}

Urdu Naat

Madinay Walay Rang with Lyrics and Video in Urdu  got  fame with voice of famous Hakeem Faiz Sultan. Madinay Walay Rang-مدینے والے رنگNaat in Urdu can be listened, download, read and share to others. Lyrics of Madinay Walay Rang are also available on naatvideos.com and many other naats with lyrics are also available here. In this Naat  Hakeem Faiz Sultan tribute to The The Holy prophet muhammad (P.B.U.H) for  the forgiveness of their sins and wish reward in shape of blessing. This Naat is recorded in studio with soft melodious voice of Hakeem Faiz Sultan.

Madinay Walay Rang | Hakeem Faiz Sultan  | Urdu Lyrics & Video

This Urdu Naat is exclusively describes the naat khawan is naat ma aqa sa iltga kar raha ha k ya nabi krm kijey doriono na mara ha der py ma ny jo waqat guzara ha ham par rahm farmajey marhba ya musfha and available with out duff. This Naat  is praised with very joshwith out zikar. Madinay Walay Rangis originally recited by Hakeem Faiz Sultan and got fame but now it is available in voice of Hakeem Faiz Sultansafa islamic.

Madinay Walay Rang is  Urdu Naat available online with lyrics. A Hamd (Urdu:حمد)are the words Only in praise of The Allah Almighty, Naat is not Hamd because Hamad is the Exclusive praise of The Allah Almighty (Creator of the World) Who is Only One but a Na`at(Urdu: نعت‎) is a poetry that specifically praises the Holy Prophet Muhammad (صلى الله عليه وسلم). The practice is popular in Pakistan, England, Turkey, India, Bangladesh and other some muslim countries, Properly in Urdu or Punjabi  language. folks that recite Naat or Hamad are called Naat-Khua’an or Sana’a-Khua’an.

Madinay Walay Rang lyrics in Roman/English

Mujhe Dar pay phir bulana, Madani Madine Wale

Mae ishq bhi pilana, Madani Madine Wale

Meri aankh me samana, Madani Madine Wale

Banay dil Tera thikana, Madani Madine Wale

Teri jab ke deed hogi, jabhi meri eid hogi

Mere Khwaab me Tum ana, Madani Madine Wale

Mujhe sab sata rahe hain, mera dil dukha rahe hain

Tumhi hausla badhana, Madani Madine Wale

Mere sab azeez chootay, mere yaar bhi to roothay

Kaheen Tum na rooth jana, Madani Madine Wale

Mai agar chay hoon kamina, Tera hoon Shahe Madina

Mujhe seenay se lagana, Madani Madine Wale

Tere Dar se Shaha behtar, Tere aastaan say badhkar

Hai bhala koee thikana, Madani Madine Wale

Tera Tujh se hoon sawali, Shaha phairna na khali

Mujhe Apna Tum banana, Madani Madine Wale

Yeh mareez mar raha hai, Tere haath me Shafa hai

Ai Tabeeb jald aana, Madani Madine Wale

Tu hi Anbiya ka Sarwar, Tu hi do jahaan ka Yawar

Tu hi Reh-baray zamana, Madani Madine Wale

Tu hai be-kasaun ka Yawar, Ai mere ghareeb parwar

Hai Sakhi Tera Gharana, Madani Madine Wale

Tu Khuda ke baad behtar, sabhi say mere Sarwar

Tera Haashmi gharana, Madani Madine Wale

Teri farsh par hukumat, Teri Arsh par hukumat

Tu Shahinsha e Zamanah, Madani Madine Wale

Tere Khalq sab say A’ala, Tera Husn Sab say pyara

Fida Tujh pay sab zamanah, Madani Madine Wale

Kahoon kis say aah jakar, sunay kaun mere dil-bar

Mere dard ka fasana, Madani Madine Wale

Ba-A’ata e RABB daem, Tu hi rizq ka hai Qasim

Hai Tera sab aabo-danah, Madani Madine Wale

Mai ghareeb bay-sahara, kahaan aur hai guzara

Mujhe Aap hi nibhana, Madani Madine Wale

Yeh karam bada karam hai, Tere haath me bharam hai

Sar-e-hashr bakhsh-wana, Madani Madine Wale

Kabhi jau ki moti roti, to kabhi khajoor pani

Tera aisa sada khana, Madani Madine Wale

Hai chataee ka bichona, kabhi khaak hi pay sona

Kabhi haath ka sar-hana, Madani Madine Wale

Teri saadgi pay lakho, Teri aajizi pay lakho

Ho salaam-e-ajizana, Madani Madine Wale

Mile naza me raahat, rahoon qabr me salamat

Tu azaab say bachana, Madani Madine Wale

Ai Shafi e Roz e mehshar! hai gunah ka bojh sar par

Mai phasaan mujhe bachana, Madani Madine Wale

Gup andheri qabr me jab, mujhe chor kar chale sab

Meri qabr jug magana, Madani Madine Wale

Mere Shah! waqt e rukhsat, mujhe meetha meetha sharbat

Teri deed ka pilana, Madani Madine Wale

Pas marg Sabz Gumbad, ki Huzoor thandi thandi

Mujhe chaoon me sulana, Madani Madine Wale

Mere Walidain mehshar mein, go bhool jae Sarwar

Mujhe Tum na bhool jana, Madani Madine Wale

Shaha tangi badi hai, yahaan dhoop bhi kadi hai

Shahe Hauz e Kauthar aana, Madani Madine Wale

Mujhe aafatun ne ghera, hai musibataun ka dayra

Ya Nabi madad ko aana, Madani Madine Wale

Koee is taraf bhi phera, ho ghamaun ka door andhera

Ai Sarapa Noor aana, Madani Madine Wale

Kooe pae bakht war gar, hai sharaf shahi se badhkar

Teri Na’al e Pak uthana, Madani Madine Wale

Mera seena ho Madina, mere dil ka aabgina

Bhi Madina hi banana, Madani Madine Wale

Ai Habeeb e Rabbe Bari, hai gunah ka bojh bhari

Tumhi hashr me churana, Madani Madine Wale

Meri adatein ho behtar, banu Sunnatun ka paikar

Mujhe muttaqi banana, Madani Madine Wale

Shaha aisa jazbah paoon, ke mai khoob seekh jaoon

Teri Sunnatein sikhana, Madani Madine Wale

Tere Naam par ho qurbaan, meri jaan jane jana

Ho naseeb sar katana, Madani Madine Wale

Teri Sunnatun par chalkar, meri rooh jab nikal kar

Chale Tum gale lagana, Madani Madine Wale

Hai muballigh AQA jitne, karo door unse fitne

Buri maut say bachana, Madani Madine Wale

Mere Ghouse ka waseela, rahe shaad sab qabeela

Inhe khuld me basana, Madani Madine Wale

Mere jis qadar hai ahbaab, inhe karde Shaha betaab

Milay ishq ka khazana, Madani Madine Wale

Meri anay wali naslein, Tere Ishq hi me machlein

Unhe nake tum banana, Madani Madine Wale

Milay Sunnataun ka jazbah, mere bhai choray Maula

Sabhi Dadiyaan mu’ndhaana, Madani Madine Wale

Mere jis qadar hai behne, Sabhi kaash burqa pehne

Ho karam Shahe zamana, Madani Madine Wale

Do jahaan kay khazanay, diye haath me Khuda ne

Tera kaam hai lutana, Madani Madine Wale

Teri gham me kaash Attar, rahe har ghadi giraftaar

Gham e maal say bachana, Madani Madine Wale

 

Madinay Walay Rang lyrics in Urdu/Arabic (مدینے والے رنگ)

 

Hakeem Faiz Sultan is a very Famous naat  recite  have very peaceful melodious voice touches to the heart of the listeners. Voice of Hakeem Faiz Sultan always appreciated by the listeners. He Recite Hamad, Naat ,kalam and manqabat in different languages. You can listen, download and read lyrics in urdu and english online on this best platform of naats.

Naatvideos is a platform have a lot of Hamad , Naat, Urdu Naat , Punjabi Naat , Arabic Naat and Other Languages by Categories of NaatKhawan/Naat Reciter. Famous Kalam , Nasheed and Manqabat are also available in Video Format with Urdu and Roman/English Lyrics. Additional Feature added in Naatvideos is Submit , Where any user/artist can upload his naat or kalam from his computer/mobile.

Users also Searched for:Madinay Walay Rang

“Disclaimer: All the Naats at NaatVideos.com are originally hosted at YouTube. This website only describes the interpretation and lyrics in different languages of Naat and Hamad, We allow our user to post their favorite naats on this portal. However if you believe that your copyrighted content has been posted without your permission, Please Contact us.”

 

Leave a Reply