Be Khud Kiye Dete Hain Qawwali Lyrics and Video Rahat Fateh Ali Khan
Be Khud Kiye Dete Hain with Lyrics and Video in urdu got fame with voice of famous Rahat Fateh Ali Khan. Be Khud Kiye Dete Hain-خود کیئے دیتے ہیں بنوQawwali in urdu can be listened, download, read and share to others. Lyrics of Be Khud Kiye Dete Hain are also available on naat videos.com and many other naats with lyrics are also available here. In this Qawwali Rahat Fateh Ali Khan tribute to The sufi kalam for the forgiveness of their sins and wish reward in shape of blessing. This Qawwali is recorded studio with soft melodious voice of Rahat Fateh Ali Khan.
Be Khud Kiye Dete Hain | Rahat Fateh Ali Khan | urdu Lyrics & Video
This urdu Qawwali is exclusively describes the Be Khud Kiye Dete Hain and available with duff. This Qawwali is praised with very Softwith out ziker. Be Khud Kiye Dete Hainis originally recited by Rahat Fateh Ali Khan and got fame but now it is available in voice of Rahat Fateh Ali KhanEvent Music Star.
Be Khud Kiye Dete Hain is urdu Qawwali available online with lyrics. A Hamd (Urdu:حمد)are the words Only in praise of The Allah Almighty, Naat is not Hamd because Hamad is the Exclusive praise of The Allah Almighty (Creator of the World) Who is Only One but a Na`at(Urdu: نعت) is a poetry that specifically praises the Holy Prophet Muhammad (صلى الله عليه وسلم). The practice is popular in Pakistan, England, Turkey, India, Bangladesh and other some muslim countries, Properly in Urdu or Punjabi language. folks that recite Naat or Hamad are called Naat-Khua’an or Sana’a-Khua’an.
Be Khud Kiye Dete Hain lyrics in Roman/EnglishJod Lagte Gaye Fasaane Meiñ Raaz Khulte Gaya Chhupaane Meiñ Roothne Ka Sabab To Tum Jaano Hum To Masroof Haiñ Manane Meiñ
Toone Tinke Samajh Ke Phooñk Diya Meri Duniya Thi Aashiyaane Meiñ
Qarar Loot Liya Be-Qarar Chhod Gaye Bahar Le gaye, Yaad-e-Bahar Chhod Gaye
Hamari Tishn-e-Haziñ Ka Na Kuch Khayal Kiya Wo Umr-Bhar Ke Liye, Ashk-Baar Chhod Gaye —- Maine Masoom Baharoñ Meiñ Tumhe Dekha Hai Maine PurNoor Nazaroñ Mein Tumheñ Dekha Hai
Mere Mahboob Teri Pardah Nasheeni Ki Qasam Maine Ashqoñ Ki Qataaroñ Meiñ Tumheñ Dekha Hai
Maine Har Simt Nazaroñ Mein Tumheñ Dekha Hai Bekhud Kiye Dete Hain Andaaz e Hijabana Bekhud Kiye Dete Hain Andaaz e Hijabana Aa Dil Main Tujhe Rakh Looñ Aye Jalwa e Janana
Arz o sama kahañ Teri Wus-a’t Ko Paa Sakeñ Mera Hi Dil Hai Wo, Ke Jahañ Tü Sama Sake
Aañkhoñ Meiñ Tujhe Rakh Looñ, Aye Jalwa e Janana
Qareeb Aa Tujhe Tohfe Meiñ Zindagi De Dooñ Teri Nigahoñ Ki Saughat Achchhi Lagti Hai
Aañkhoñ Meiñ Tujhe Rakh Loon Aye Jalwa e Janana
Aa Dil Meiñ Tujhe Rakh Loon Aye Jalwa e Janana
Aa Aa Shab e Firaaq Aa, Aa Dil Meiñ Tujhe Rakh Loon Aye Jalwa e Janana
Kaun Hai Jis Ne Mai Nahiñ Chak’khi Kaun Jhooti Qasam Uthata Hai Maikade se Jo Bach Nikalta Hai Teri Nazroñ Meiñ Doob Jaata Hai
Aa Dil Meiñ Tujhe Rakh Loon Aye Jalwa e Janana
Tum Aaye Ho, Na Shab e Intizaar Guzri Hai Talaash Meiñ Yuñ Sahar, Baar Baar Guzri Hai
Aa Dil Meiñ Tujhe Rakh Loon Aye Jalwa e Janana
Abhi To Aaye Ho, Thehro Zara, Chale Jana Lagegi Deir Zara Hal-e-dil Sunane Meiñ
Aañkhoñ Meiñ tujhe rakh loon aye jalwa e janana
Aye Abr-e- Karam Zara Tham Ke Baras Itna Na Baras Ke Wo Aa Na Sakeñ Wo Ajayeñ To Jam Ke Baras Aur Itna Baras Ke Wo Ja Na Sakeñ
Aañkhoñ Meiñ Tujhe Rakh Loon Aye Jalwa e Janana
Kyuñ Aañkh Milayi Thi, Kyuñ Aag Lagayi Thi
Kyun Aas Bandhayi Thi, Kyun Aag Lagai Thi
Kyun Deed Karai Thi, Kyun Aag Lagai Thi
Kyun Preet Karai Thi, Kyun Aag Lagai Thi
Ab Rukh Ko Chhupa Baithe, Kar Ke Mujhe Deewana
Ab Jaali laga baithe Kar Ke Mujhe Deewana
Saudi Shurton ke….. Ab Pahre Laga Baithe, Kar Ke Mujhe Deewana
Bas Unki Yaadoñ Ka Ab Tak Khumaar Baaqi Hai
Ab Pahre Laga Baithe, Kar Ke Mujhe Deewana
Ab Rukh Ko Chhupa Baithe, Kar Ke Mujhe Deewana
Ab Parda Gira Baithe, Kar Ke Mujhe Deewana
Jis Jaa Nazar Aate Ho , Sajday Wahiñ Karta Hooñ Jis Rah Se Guzarte Ho, Sajde Wahiñ Karta Hooñ
Jis Qadar Maine bhulaaye teri Yaadoñ Ke Nuqoosh Dil e BeTaab Ne Utna Hi Tumheñ Yaad Kiya
Jis Rah Se Guzarte Ho, Sajde Wahin Karta Hooñ
Meri Zindagi Bhi Ajeeb Hai Meri Bandagi Bhi Ajeeb hai Jahañ Mil Gaya Tera Naqsh e Paa Wahiñ Maine Kaaba Bana Liya
Jis Rah Se Guzarte Ho, Sajde Wahin Karta Hooñ
Maine Dar e Yaar Pe, Aisi Padhi Namaaz Kaaba Meri Namaaz Pe Qurbaan Ho Gaya
Jis Rah Se Guzarte Ho, Sajde Wahin Karta Hooñ
Mujhe Kya Gharaz Thi Rukoo Se Mujhe Kya Gharaz Thi Sujood Se Tere Naqsh e Paa Ki Talash Thi Ke Maiñ Jhuk Raha Tha Namaz Meiñ
Jis Rah Se Guzarte Ho, Sajde Wahiñ Karta Hooñ
Mareez e Ishq Ka Aksar Ye Haal Hota Hai Kisi Ke Naam Se Chehra Bahaal Hota Hai Main Ise Kufr Kahooñ, Ya Kamal e Ishq Kahooñ Namaz Meiñ Bhi Tumhara Khayal Hota
Jis Rah Se Guzarte Ho, Sajde Wahin Karta Hooñ
Sajdoñ Ke Liye Baab e Karam Dhooñdh Liya Hai Aye Yaar! Tera Naqsh e Qadam Dhooñdh Liya Ha
Jis Rah Se Guzarte Ho, Sajde Wahin Karta Hooñ
Ishq Ka Muddayi Bhi Tum, Husn Ka Mudda-a Bhi Tum Aashiq e BaWafa Bhi Tum, Maashoq e Dil Ruba Bhi Tum Yahan Bhi Tum Wahan Bhi Tum, Idhar Bhi Tum Udhar Bhi Tum Rehne Do Raaz Khul Gaya, Bande Bhi Tum Khuda Bhi Tum
Jis Rah Se Guzarte Ho, Sajde Wahin Karta Hooñ
Jis Rah Se Guzarte Ho, Sajde Wahiñ Karta Hooñ Iss Se Nahi Kuchh Matlab, Kaaba Ho Ya Bütt Khana
Main Hosh-o-Hawaas apne, iss baat pe kho baitha Tu Ne Jo Kaha Hans Ke, Aya Mera Deewana
Tu Ne Jo Kaha Hans Ke, Dekho Mera Deewana
Tu Ne Jo Kaha Hans Ke, Dekha Mera Deewana
Tu Ne Jo Kaha Hans Ke, Yeh Hai Mera Deewana
Tu Ne Jo Kaha Hans Ke, Tahir Mera Deewana
Jee Chahta Hai Tohfe Meiñ, Bhejooñ Unheiñ Do Aañkheiñ Darshan Ka To Darshan Ho, Nazrane Ka Nazrana
Aisi Aankhoñ Ke Tasadduk Meri Aañkheiñ Bedam
Darshan Ka To Darshan Ho, Nazrane Ka Nazrana
Jee Chahta Hai Tohfe Meiñ, Bhejooñ Unheiñ Do Aañkheiñ Darshan Ka To Darshan Ho, Nazrane Ka Nazrana
Bedum Meri Qismat Meiñ, Sajde Hain Isi Dar Ke
Peene Ko To Pee Looñga, Par Shart Zara Si Hai Baghdad Ka Saaqi Ho, Minhaaj Ka MaiKhana
BeZauqi-e Duniyañ Ke Na Saaghar Se Piyuñga Mar Jaauñga, Lekin Na Kisi Dar Se Piyuñga Maikhaar Ki Tauheen Hai, KamZarf Ki Minnat Peeni Hai To Phir Saaqi-e-Baghdad Se Piyuñga
Baghdad Ka Saaqi Ho, Minhaaj Ka MaiKhana
Bedum Meri Qismat Mein, Sajde Hain Isi Dar Ke Chhoota Hai, Na ChooteGa, Sang e Dar e Janana
YaadRaah Ghareeboñ Ka BarQarar Rahe
Chhoota Hai, Na ChooteGa, Ajmer Ka MaiKhana
Jeena Hai To Phir Sang Tahar Ke jiyuñga
Chhoota Hai, Na ChooteGa, Ajmer Ka MaiKhana
Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana
Mujhe Is Ka Gham Nahiñ Hai Ke Badal Gaya Zamana Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana
Nainan Ki Kar Kothari, Jo Palak Dhaañp Tohe Looñ Na Maiñ Dekhooñ Ghair Ko, Na Maiñ Tohe Dekhan Dooñ
Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana
Zahe Naseeb Mujhe Gham A’taa Kiya Tune Karam Kiya Mujhe Apna Bana Liya Tune
Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahin Tum Badal Na Jana
Bahut Udaas Thi Duniyañ Me Zindagi Meri Karam Jo Tera Hua, Baat Ban Gayi Meri
Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahin Tum Badal Na Jana
Is Se Badh Kar Meri Khushi Kya Hai Tum Salamat Raho Kami Kya Hai
Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana
Is Se Badh Kar Meri Khushi Kya Hai Muskurate Raho Kami Kya Hai
Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana
Is Se Badh Kar Meri Khushi Kya Hai Rukh Dikhate Raho Kami Kya Hai
Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana
Sone Di Jareeb Howe, Añkhiyañ Ohh Rakhiye Paayeñ Yaar Ghareeb Howe
Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana
Sone Di Jareeb Howe, Mukhda Dholan Da Ghareebañ Di Eid Howe
Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana
Teri Ik Nigah Ki Qeemat Meri Saari Zindagani Tune Mujhe Qubool Kiya, Ye Hai Teri MehrBaani
Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana
Teri Ik Nigah Ki Qeemat Meri Saari Zindagani Tune Mujhe Qubool Kiya, Ye Hai Teri MehrBaani
Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana
Meri Bandagi Hai Tum Se, Kahin Tum Badal Na Jana
Meri Bandagi Hai Tum Se, Kahin Rukh Chhupa Na Jana
Meri zindagi Hai Tum Se, Tum Mujhe Bhula Na Jana
Meri Zindagi Hai Tum Se, Tum Mujhe badal na jana
Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana
Majlis Saji Hai Tum se, Kahiñ Tum Chale Na Jana
Minhaj Saja Hai Tum Se, Kahiñ Tum Chale Na Jana
Mahfil Saji Hai Tum Se, Kahiñ Tum Chale Na Jana
Meri Jaañ Lagi Hai Tumse, Kahiñ Tum Badal Na Jana
Meri Jaañ Adi Hai Tumse, Kahiñ Tum Badal Na Jana
Izzat Bani Hai Tumse, Kahiñ Tum Badal Na Jana
Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana
Sajan Preet lagaayi-ke Door Des Mat Ja Bas Hamare Des Me Mai Maañguñ Tu Kha
Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana
Pesh e Nazar Hoñ Aap Mera Sar Jhuka Rahe Jab Tak Rahuñ Jahañ Meiñ Karam Aapka Rahe
Meri Zindagi Hai Tum Se, Kahiñ Tum Badal Na Jana
Gham e Aashiqi Se Pahle Mujhe Kaun Jaanta tha Tere Ishq Ne Bana Di, Meri Zindagi Fasana
Kya Lutf Ho Mehshar Mein, Main Shikwe Kiye Jaooñ Woh Hans Ke Kahe Jayeiñ Deewana Hai Diwana
Saaqi Tere Aate Hi, Yeh Josh Hai Masti Ka Sheeshe Pe Gira Sheesha, Paimaane Pe Paimana
Maloom Nahin Bedam, Mein Kaun Hooñ Aur Kya Hooñ Youñ Apnoñ Meiñ Apna Huñ Beiganoñ Meiñ Begana
|
Be Khud Kiye Dete Hain lyrics in Urdu/Arabic (خود کیئے دیتے ہیں بنو)
|
Rahat Fateh Ali Khan is a very Famous naat recite have very peaceful melodious voice touches to the heart of the listeners. Voice of Rahat Fateh Ali Khan always appreciated by the listeners. He Recite Hamad, Naat ,kalam and manqabat in different languages. You can listen, download and read lyrics in urdu and english online on this best platform of naats.
Naatvideos is a platform have a lot of Hamad , Naat, Urdu Naat , Punjabi Naat , Arabic Naat and Other Languages by Categories of NaatKhawan/Naat Reciter. Famous Kalam , Nasheed and Manqabat are also available in Video Format with Urdu and Roman/English Lyrics. Additional Feature added in Naatvideos is Submit , Where any user/artist can upload his naat or kalam from his computer/mobile.
Users also Searched for:be khud kiye dete hain,
be khud kiye dete hain qawwali, be khud kiye dete hain owais raza qadri, be khud kiye dete hain amjad sabri, be khud kiye dete hain rahat fateh ali khan, be khud kiye dete hain lyrics, be khud kiye dete hain female voice, be khud kiye dete hain khalid hasnain khalid, be khud kiye dete hain ghulam mustafa qadri, be khud kiye dete hain qawali, be khud kiye dete hain ahmad raza qadri, be khud kiye dete hain amjad sabri status, be khud kiye dete hain asad attari, be khud kiye dete hain abdul basit, be khud kiye dete hain andaz hijabana status, be khud kiye dete hain asif ali santoo, be khud kiye dete hain abdul basit hassani, be khud kiye dete hain andaz hijabana owais raza qadri, be khud kiye dete hain asad iqbal, be khud kiye dete hain anish sabri, be khud kiye dete hain arif feroz, ahmed raza qadri naats be khud kiye dete hain, asad iqbal naat bekhud kiye dete hain, amjad farid sabri be khud kiye dete hain, rahat fateh ali khan be khud kiye dete hain, nusrat fateh ali khan be khud kiye dete hain, be khud kiye dete hain rao ali hasnain, be khud kiye dete hain zohaib ashrafi, be khud kiye dete hain by owais raza qadri, be khud kiye dete hain blind boy, be khud kiye dete hain by nusrat fateh ali khan, be khud kiye dete hain by rahat fateh ali khan, be khud kiye dete hain bass boosted, be khud kiye dete hain by amjad sabri, be khud kiye dete hain by ahmed raza qadri, be khud kiye dete hain by shahbaz qamar fareedi, be khud kiye dete hain black screen status, be khud kiye dete hain by asad attari, be khud kiye dete hain blindboy |
“Disclaimer: All the Naats at NaatVideos.com are originally hosted at YouTube. This website only describes the interpretation and lyrics in different languages of Naat and Hamad, We allow our user to post their favorite naats on this portal. However if you believe that your copyrighted content has been posted without your permission, Please Contact us.”